Raja Rani
Raja ne dekha ek pyari si Rani
aur wahi se suru hui unki kahani
Raja:
Ae Rani chalo mere saath
Ab der na karo badhao apna haath
Main lakho mein kamata hoon
Dono haathon se lutata hoon
Jaha bhi chala jaaun
sabse mahaan khud ko hi paaun
Rani:
Kyun tummme aisi kya hai baat
Jo chalun main tere saath
agar tumne khub kari kamai
Maine bhi karoro ki sundarta payi
Agar itna hi lutate ho
to Khana pina kya bhik maang k late ho
Raja:
Mera hai ek pyara pariwar
Maa baap aur bhai chaar
Sabse jyada main hi kamata hoon
pure pariwar ka bojh uthata hoon
Hazaron rishte aate hai
sab mayus hokar jaate hai
Rani:
Achcha to yahaan hai pura Paandav
Jarur hota hoga roj Taandav
Main jo tere baaton pe chali
Banna padega mujhe panchali
Aur ae bojh uthane wale kuli
Kaun bewkoof chadhegi tere sang suli
hazaron rishte jo aate hai
wo tujhe hi thukrate hai
batati hoon ek Sau take ki baat
Bhikh mein nahi maangte sajani ka haath
Jo Tumhare andar hai dil lakho ka
iske samne kya mol hai sundarta ka
Kadr kiya nahi aaj tak tumne apna
Isiliye pura nahi hua aaj tak sapna
Dil waalon k saamne to puri duniya jhuk jaaye
Phir ladki ki kya aukat jo tujhe thukraye....
aur wahi se suru hui unki kahani
Raja:
Ae Rani chalo mere saath
Ab der na karo badhao apna haath
Main lakho mein kamata hoon
Dono haathon se lutata hoon
Jaha bhi chala jaaun
sabse mahaan khud ko hi paaun
Rani:
Kyun tummme aisi kya hai baat
Jo chalun main tere saath
agar tumne khub kari kamai
Maine bhi karoro ki sundarta payi
Agar itna hi lutate ho
to Khana pina kya bhik maang k late ho
Raja:
Mera hai ek pyara pariwar
Maa baap aur bhai chaar
Sabse jyada main hi kamata hoon
pure pariwar ka bojh uthata hoon
Hazaron rishte aate hai
sab mayus hokar jaate hai
Rani:
Achcha to yahaan hai pura Paandav
Jarur hota hoga roj Taandav
Main jo tere baaton pe chali
Banna padega mujhe panchali
Aur ae bojh uthane wale kuli
Kaun bewkoof chadhegi tere sang suli
hazaron rishte jo aate hai
wo tujhe hi thukrate hai
batati hoon ek Sau take ki baat
Bhikh mein nahi maangte sajani ka haath
Jo Tumhare andar hai dil lakho ka
iske samne kya mol hai sundarta ka
Kadr kiya nahi aaj tak tumne apna
Isiliye pura nahi hua aaj tak sapna
Dil waalon k saamne to puri duniya jhuk jaaye
Phir ladki ki kya aukat jo tujhe thukraye....
4 Comments:
"batati hoon ek Sau take ki baat
Bhikh mein nahi maangte sajani ka haath
Jo Tumhare andar hai dil lakho ka
iske samne kya mol hai sundarta ka
Kadr kiya nahi aaj tak tumne apna
Isiliye pura nahi hua aaj tak sapna"
...aisa sach main hota hain kya?????to fhir mera sapna kyun tota ..... :))
TO Dear ROMRAM : Yaar.... Poems hamesha theoretical hote hai..isiliye log likhte hai padhte hai ....agar practical hote to...
1. galib k anusar aasmaan mein bahut saare chhed hote
2. Mehnat karne wala hamesha jitta
3.Tumhe Bandi milti
waise ye batao tumhari dil todne waali hai kaun ??
Is this poem inspired from a personal experience?
To Dear Ambuj
Nahi yaar aisa kuchh bhi nahi hai ...
Post a Comment
<< Home